Saturday, June 12, 2010

yeh lamha fikr-o-gham

Yeh lamha fikr-o-gham ka guzer kyun nahi jata
Akhir ko hai pemana bhar kyun nahi jata

Aata hai kucch yaqeen mager badguman bhi hoon
Maazi se jo mila hai asar kyun nahi jata 

Usne bare khuloos se yeh kehdiya
Jeena hai nagawar tou marr kyun nahi jata

Nakaam hasraton ka tasalsul nahi toota
Jane mager yeh shouq-e-safer kyun nahi jata

Mana ke iss qader nahi per kucch tou hai AZIZ 
Woh shakhs khayalon se utar kyun nahi jata

No comments:

Post a Comment